manzil bhī milegī raste meñ tum rāhguzar kī baat karo
āġhāz-e-safar se pahle kyuuñ anjām-e-safar kī baat karo
zālim ne liyā hai sharmā kar phir gosha-e-dāmāñ chuTkī meñ
hai vaqt ki tum bebākī se ab dīda-e-tar kī baat karo
aayā hai chaman meñ mausam-e-gul aa.ī haiñ havā.eñ zindāñ tak
dīvār kī bāteñ ho leñgī is vaqt to dar kī baat karo
hai tez havā hiltā hai qafas ḳhatre meñ paḌī hai har tiilī
fariyād-e-asīrī band karo ab jumbish-e-par kī baat karo
kyuuñ dār-o-rasan ke saa.e meñ mansūr kī bāteñ karte ho
rakhnā hai jo ūñchā sar apnā to apne hī sar kī baat karo
kyuuñ ahl-e-junūñ arbāb-e-ḳhirad kī mahfil meñ ḳhāmosh raheñ
vo apne hunar kī baat kareñ tum apne hunar kī baat karo
kyā barbat-o-daf dam toḌ chuke maut aa ga.ī kyā har naġhme ko
tum mutrib-e-jām-o-mīnā ho kyuuñ teġh o sipar kī baat karo