fasurda hai ilm harf-hā-e-kitāb bhī bujh ke rah ga.e haiñ
hai raakh hī raakh madrasoñ meñ nisāb bhī bujh ke rah ga.e haiñ
diloñ meñ sho.ale sisak rahe haiñ jamī huī barf hai laboñ par
savāl bhī bujh ke rah ga.e haiñ javāb bhī bujh ke rah ga.e haiñ
nahīñ hai mahfil meñ koī garmī hue haiñ dil sard mutriboñ ke
dhuāñ nikaltā hai uñgliyoñ se raubāb bhī bujh ke rah ga.e haiñ
charāġh-e-sāġhar se lau lagā kar na paayā kuchh bhī fasurdagī ne
ki ġham to ye hai ki sho.ala-hā-e-sharāb bhī bujh ke rah ga.e haiñ
giraft-e-tūfāñ meñ aa gayā hai ḳhayāl kā sho.ala-posh dāman
rahe haqīqat hī jin se raushan vo ḳhvāb bhī bujh ke rah ga.e haiñ
bujhā bujhā sā hai qalb-e-sahrā bujhī bujhī sī hai reg-e-tābāñ
fareb khā.egī tishnagī kyā sarāb bhī bujh ke rah ga.e haiñ
hai munfa.il zauq-e-sho.ala-chīnī araq araq hai jabīn-e-ḳhirman
kahāñ se ā.eñge barq-pāre sahāb bhī bujh ke rah ga.e haiñ