Parvez Shahidi

jalte rahna kaam hai dil ka bujh jaane se hasil kya

Parvez Shahidi

Lodhi Katra, Bihar, India

1910-1968
jalte rahnā kaam hai dil kā bujh jaane se hāsil kyā
apnī aag ke īñdhan haiñ ham īñdhan kā mustaqbil kyā
bolo nuqūsh-e-pā kuchh bolo tum to shāyad sunte ho
bhaag rahī hai rāhguzar ke kaan meñ kah kar manzil kyā
Dūbne vālo! dekh rahe ho tum to kashtī ke taḳhte
dekho dekho ġhaur se dekho dauḌ rahā hai sāhil kyā
an-paḌh āñdhī ghus paḌtī hai toḌ ke phāTak mahloñ ke
''andar aanā man.a hai'' likh kar laTkāne se hāsil kyā
qatl-e-vaqār-e-ishq kā mujrim jahl-e-havas-kārāñ hī nahīñ
nañge is hammām meñ sab haiñ aalim kyā aur jāhil kyā
parvāne ab apnī apnī aag meñ jalte rahte haiñ
sho.aloñ ke baTvāre se thā maqsad-e-sham-e-mahfil kyā
TuuTī dhanak ke TukḌe le kar bādal rote phirte haiñ
khīñchā-tānī meñ rañgoñ kī sūraj bhī hai shāmil kyā
Top Urdushayar.com