ḳhāmoshī bohrān-e-sadā hai tum bhī chup ho ham bhī chup
sannāTā tak chīḳh rahā hai tum bhī chup ho ham bhī chup
tark-e-ta.alluq kar ke zabāñ se dil kā jiinā mushkil hai
ye kaisā āhañg-e-vafā hai tum bhī chup ho ham bhī chup
dil vāloñ kī ḳhāmoshī hī bār-e-samā.at hotī hai
be-āvāzī karb-e-fazā hai tum bhī chup ho ham bhī chup
bhes badaltī āvāzeñ hī shām-o-sahar kahlātī hai
vaqt kā dam kyā TuuT gayā hai tum bhī chup ho ham bhī chup
sakte tak ab aa pahuñchā hai baḌhte baḌhte karb-e-sukūt
hoñToñ par kyā vaqt paḌā hai tum bhī chup ho ham bhī chup
kaisī narmī kaisī saḳhtī lahje kī kyā baat kareñ
fikr hī ab ġham-karda sadā hai tum bhī chup ho ham bhī chup
jab tak rāh-e-vafā thī sīdhī zor-e-bayāñ thā aish-e-safar
shāyad koī moḌ aayā hai tum bhī chup ho ham bhī chup