mauqa.a-e-yās kabhī terī nazar ne na diyā
shart jiine kī lagā dī mujhe marne na diyā
kam se kam maiñ ġham-e-duniyā ko bhulā saktā thā
par tirī yaad ne ye kaam bhī karne na diyā
terī ġham-ḳhvār nigāhoñ ke tasadduq ki mujhe
ġham-e-hastī kī bulandī se utarne na diyā
vo tirī surḳhī-e-āriz ki qarīb aa na sakī
rañg jis fikr ko bhī ḳhūn-e-jigar ne na diyā
husn-e-ham-dard tirā ham-safar-e-shauq rahā
mujh ko tanhā kisī manzil se guzarne na diyā
kitnī ḳhush-zauq hai terī nigah-e-bāda-farosh
ḳhālī rahne na diyā jaam ko bharne na diyā