Imdad Ali Bahr

jalwa-e-arbab-e-duniya dekhiye

Imdad Ali Bahr

1810-1878
jalva-e-arbāb-e-duniyā dekhiye
svāñg hai ye bhī tamāshā dekhiye
sair ko uTThe to haiñ vahshī mizāj
baaġh jaate haiñ ki sahrā dekhiye
gar-che til hai us ke muñh par ḳhushnumā
nahs hai kyā ek taarā dekhiye
roiye jitnā rulā.e hijr-e-yār
ghar meñ baiThe sair-e-dariyā dekhiye
charḳh-e-mīnā.ī muāfiq ho agar
dūr-daur-e-jām-e-sahbā dekhiye
yā-ilāhī ḳhair phir aa.e bahār
kyā harārā laa.e saudā dekhiye
kal jo kuchh sūrat huī thī miT ga.ī
aur hī hai aaj naqshā dekhiye
abruoñ meñ phir girah paḌne lagī
bal tabī.at meñ phir aayā dekhiye
dardmand-e-chashm haiñ darmāñ-talab
dekhte bhī haiñ masīhā dekhiye
intizār-e-yār kahtā hai yahī
zindagī jab tak hai rastā dekhiye
vasl sābit hai tafādil se magar
kab vo aatā hai zamānā dekhiye
kyā balā-e-bad hai ye bād-e-ḳhizāñ
ho ga.ī sab phuul pattā dekhiye
bazm-e-nā0-pursāñ meñ qismat laa.ī hai
baiThiye apnī agar jā dekhiye
'bahr' agar chamkā sitāra aish kā
lailī-e-gardūñ kā mujrā dekhiye
Top Urdushayar.com