nipTeñge dil se ma.arka-e-rah-guzar ke ba.ad
leñge safar kā jā.eza ḳhatm-e-safar ke ba.ad
uThne ko in kī bazm meñ sab kī nazar uThī
itnā magar kahūñgā ki merī nazar ke ba.ad
sab zor ho rahā hai mirī sar-kashī pe sarf
kyā hogā hāl-e-dār-o-rasan mere sar ke ba.ad
kū-e-sitam se guzreñ to shorīdgān-e-ishq
hañsne lageñge zaḳhm-e-jigar zaḳhm-e-sar ke ba.ad
barq-e-sitam ko nazr karūñ bhī to kyā karūñ
ab kyā rahā hai aag lagāne ko ghar ke ba.ad
be-ḳhvāb kar rahe haiñ shab-e-ġham ke marhale
āñkheñ jhapak na jaa.eñ tulū-e-sahar ke ba.ad
hogā tavīl aur bhī afsāna-e-vafā
ahl-e-jafā ke tantana-e-muḳhtasar ke ba.ad