Imdad Ali Bahr

main gila tum se karun ai yar kis kis baat ka

Imdad Ali Bahr

1810-1878
maiñ gilā tum se karūñ ai yaar kis kis baat kā
ye kahānī din kī ho jaa.e na qissa raat kā
tark kī mujh se mulāqāt aap ne achchhā kiyā
ġham miTā har-vaqt kā jhagḌā gayā din-rāt kā
be-tamīzoñ se tabī.at āshnā hotī nahīñ
chāhne vaalā huuñ maiñ mahbūb-e-ḳhush aur raat kā
maiñ to kuchh kahtā huuñ tum se tum samajhte ho kuchh aur
jabki bātoñ meñ kalām aayā mazā kyā baat kā
tere aane kī duā māñgā kabhī jaagā kiye
rāt-bhar aalam rahā ai but ḳhudā.ī raat kā
vaah kyā nām-e-ḳhudā saj-dhaj hai kyā andāz hai
aadmī dekhā nahīñ is qad kā aur is kaat kā
sāmne yuuñ aa.e botal jaise aatī hai ghaTā
jaam yuuñ jhalke ki maiñ dekhūñ samāñ barsāt kā
ishq vo ġhārat-gar-e-īmāñ hai ye chāhe agar
vā.izoñ ko kalma paḌhvā.e manāt-o-lāt kā
aise jhūTe ho agar sach bhī kabhī ho bolte
e.atibār aatā nahīñ sāhab tumhārī baat kā
yaar tum ko dil nahīñ dene kā be-bosa liye
tum jo apnī gūñge ho maiñ bhī huuñ apnī ghaat kā
ahl-e-duniyā ḳhush hoñ yā nā-ḳhush hoñ kuchh parvā nahīñ
aasrā rakhtā hai ye banda ḳhudā kī zaat kā
jab tumhārī kaan kī bijlī chamak kar rah ga.ī
merī āñkhoñ ne samāñ dikhlā diyā barsāt kā
qāmat-e-jānāñ hai mīl-e-manzil-e-avval mujhe
kākul-e-shab-gūñ hai jaada vādī-e-āfāt kā
taash kā mūbāf choTī meñ muqarrar chāhiye
chāñdnī se aur hī hotā hai joban raat kā
'bahr' apnī apnī qismat hai ba-shakl-e-mehr-o-māh
zar use baḳhshā use kaasa diyā ḳhairāt kā
Top Urdushayar.com