Imdad Ali Bahr

ifsha hue asrar-e-junun jama-dari se

Imdad Ali Bahr

1810-1878
ifshā hue asrār-e-junūñ jāma-darī se
chhāpe ga.e aḳhbār mirī be-ḳhabarī se
dam naak meñ aayā hai ab is nauhagarī se
dil pak gayā ai aah tirī be-asarī se
kyā din haiñ jo gul khilte haiñ sho.ale haiñ dahakte
lū chaltī hai bāġhoñ meñ nasīm-e-saharī se
sone ke nivāloñ se na kar parvarish-e-rūh
itnī bhī mohabbat nahīñ karte safarī se
kab ahl-e-duval se huī ma.abūd-parastī
bātil hai agar sajda kareñ tāj-e-zarī se
har haal meñ rahtī hai ḳhudā par nazar apnī
ye martaba hāsil hai hameñ be-hunarī se
maġhrūr na ho chāñd se ruḳhsār par apne
ye qumquma raushan hai charāġh-e-saharī se
tū vo hai shah-e-husn agar baaj talab ho
le huur se guldasta tabaq shāh-e-parī se
muñh chaḌhte haiñ bad-asl tamīz un ko nahīñ hai
dāñtoñ se laḌī silk-e-guhar bad-guharī se
āñkhoñ se nikalvāiye āñkheñ hirnoñ kī
chītoñ kī kamar toḌiye nāzuk-kamarī se
naubat to kahīñ qatl-e-gunāhgār kī aa.ī
naqqāre bajā.uñgā meñ tīroñ kī sarī se
pusht-e-lab-e-shaffāf se joban hai misoñ kā
sabze ne numū kī hai aqīq-e-shajarī se
piirī meñ bhī ham se na huī ḳhāna-nashīnī
baaz aa.e na bazmoñ se na guzre guzrī se
qad tiir sā talvār tavāzo.a se huā hai
vo haath uThāte nahīñ be-dād-garī se
jab chāho chale aao ye va.ada nahīñ achchhā
dil aañkh churātā hai bahut muntazarī se
ab zof-e-junūñ kūcha-e-jānāñ meñ bahā de
kab tak ye varam paañv par āshufta-sarī se
vo choT kaleje meñ lagī hai ki na pūchho
taḌpūñgā tah-e-ḳhāk bhī dard-e-jigarī se
rone kā na le naam ġham-e-yār meñ ai 'bahr'
ulTe na zamāne kā varaq lab kī tarī se
Top Urdushayar.com