yuuñ chaar din kī bahāroñ ke qarz utāre ga.e
tumhāre ba.ad ke mausam faqat guzāre ga.e
zarā sī duur to sailāb ke sahāre ga.e
bhañvar meñ uljhe to phir haath paañv maare ga.e
sadā kā der talak gūñjnā bahut bhāyā
phir ek naam bayābāñ meñ ham pukāre ga.e
chhupā chhupā ke jo rātoñ ne ḳhvāb rakkhe the
vo saare din ke ujāloñ ke haath maare ga.e
kuchh ek chehre mirī chashm-e-tar meñ tairte haiñ
kuchh ik safīne abhī tak na paar utāre ga.e