Imdad Ali Bahr

dil se samjhunga ise dushman-e-jaan hone do

Imdad Ali Bahr

1810-1878

dil se samjhūñgā ise dushman-e-jāñ hone do

zahr gholūñgā davā meñ ḳhafaqāñ hone do

aañkh bhauñ us ke ishāroñ pe ravāñ hone do

mil ke abrū-o-mizha tīr-o-kamāñ hone do

mere dil ko hadaf-e-tīr-e-nigah karte haiñ

aur mujh se bhī ishāra hai ki haañ hone do

aag bhaḌkī huī hai mujh ko na samjhā.e koī

jaan maal hotā hai ziyāñ hone do

har tarah ham dil-e-nā-fahm ko samjhā leñge

daaġh maujūd haiñ pahlū ko ḳhizāñ hone do

ism-e-āzam asar ġhair ko dikhlā deñge

yaar naam zarā vird-e-zabāñ hone do

āñkheñ phūTeñ bhī kahīñ is falak-e-bad-bīñ

zabt achchhā nahīñ aahoñ dhuāñ hone do

parda Daalo mirī āñkhoñ pe na ai sharm-o-hijāb

yaar be-parda hai mujh ko nigarāñ hone do

raat baaqī hai abhī kis liye ghabrā ke uThe

top chhuTne do mirī jaan azaañ hone do

lucknow meñ tumheñ dikhlā.eñge chaukā bahte

chaar aañsū mirī āñkhoñ se ravāñ hone do

dekhūñ kyuuñ kar nahīñ hotā falak-e-kaj sīdhā

dil-e-mahzūñ buland āh-o-fuġhāñ hone do

ahl-e-duniyā meñ mo.assir hai har ek shai rivāj

mast ho jā.eñge sab daur-e-muġhāñ hone do

naujavānī mazā koī ḳharābāt meñ hai

mardum-e-pīr ko mushtāq-e-jināñ hone do

āzmā.ish ke nazar jo hamāre jānib

paar siine se nigāhoñ sināñ hone do

'bahr' ne ab to kamar bāñdhī bad-vaza.ī par

ab na roko ise rusvā-e-jahāñ hone do

Top Urdushayar.com