Tameezuddin Tameez Dehlvi

silsila to kar qasid us talak rasai ka

Tameezuddin Tameez Dehlvi

Delhi, India

1929
silsila to kar qāsid us talak rasā.ī kā
dukh sahā nahīñ jaatā yaar kī judā.ī kā
jab zarā mahak aa.ī shāḳh meñ lachak aa.ī
bāġhbāñ ko dhyān aayā baaġh kī safā.ī kā
farba thā tavānā thā terā jānā-mānā thā
jis pe tū huā shaidā lauñDā hai qasā.ī kā
sar pe pair rakhtā hai mujh se bair rakhtā hai
maiñ ne kab kiyā da.avā tujh se āshnā.ī kā
dostoñ meñ Than jaatī thī ye us kī nādānī
dushmanoñ ke haath aatā mauqa jag-hañsā.ī kā
har koī pareshāñ hai āsmāñ se nālāñ hai
har kisī ko shikva hai us kī kaj-adā.ī kā
ye ajiib sheva hai dostoñ kā shikva hai
har kisī ko da.avā hai apnī pārsā.ī kā
ai tamīz bas bhī kar is qadar na mar us par
kyuuñ hai 'shauq' charrāyā tujh ko jubba-sā.ī kā
Top Urdushayar.com