ham ne maanā ki taġhāful terī aadat hai zarūr
terī uftād meñ shoḳhī-o-sharārat hai zarūr
yuuñ to us ne kiyā iz.hār-e-nadāmat hai zarūr
aisā lagtā hai koī is meñ sharārat hai zarūr
ġhair se sun ke mirā haal ta.assuf se kahā
jo ye sach hai to burī chiiz mohabbat hai zarūr
vāqi.a ye hai ki insān hai majbūr mahz
sāneha ye hai ki muḳhtār kahāvat hai zarūr
bāda-ḳhvāroñ meñ koī baat to hai ai saaqī
un ke dam se tire maiḳhāne kī zīnat hai zarūr