Tameezuddin Tameez Dehlvi

ahd-e-piri ne hamein rang dikhae kya kya

Tameezuddin Tameez Dehlvi

Delhi, India

1929
ahd-e-pīrī ne hameñ rañg dikhā.e kyā kyā
sar pe ho shaam to baḌh jaate haiñ saa.e kyā kyā
Thokareñ lagne lagīñ zo.af-e-basārat ke sabab
dekhiye zo.af-e-samā.at bhī dikhā.e kyā kyā
tark ulfat kī kabhī aur kabhī tark mai kī
ab to ahbāb bhī dene lage raa.e kyā kyā
vaa.e nādānī-e-dil is ne mohabbat kar ke
ranj-o-ġham mol liye baiThe-biThā.e kyā kyā
ḳhud ko rusvā kiyā har raaz chhupā kar us kā
apne sar le liye ilzām parā.e kyā kyā
aish-o-ishrat se sadā kaam javānī meñ rahā
sher-o-naġhma se shab-o-roz sajā.e kyā kyā
sāya-e-zulf kabhī aur kabhī dāman kī havā
us ke altāf-o-karam yaad na aa.e kyā kyā
fikr-e-uqbā se larazte haiñ ab a.asāb-e-'tamīz'
dekhiye fard-e-amal sāmne laa.e kyā kyā
Top Urdushayar.com