tamām shahr meñ hai aam kārobār-e-havas
ki chehre chehre pe chaspāñ hai ishtihār-e-havas
abhī ragoñ meñ hai talḳhī-e-e'tibār-e-havas
badan meñ TuuT rahā hai abhī ḳhumār-e-havas
jo chal paḌe ho to anjām-e-gumrahī se Daro
supurd-e-ḳhāk na kar de ye rahguzār-e-havas
havā hai garm na kamre kī khiḌkiyāñ kholo
na jaane shahr meñ Thahre kahāñ ġhubār-e-havas
farār ḳhvāhish-e-hastī se jab nahīñ mumkin
nafas kī qaid kaheñ yā ise hisār-e-havas