Raeesuddin Raees

safar ye mera ajab imtihan chahta hai

Raeesuddin Raees

Aligarh, Uttar pradesh, India

1948
safar ye merā ajab imtihān chāhtā hai
balā ke habs meñ bhī bādbān chāhtā hai
vo merā dil nahīñ merī zabān chāhtā hai
mirā udū hai mujhī se amaan chāhtā hai
hazār us ko vahī rāste bulāte haiñ
qadam qadam vo nayā āsmān chāhtā hai
ajiib baat hai mujh se mirā hī ā.īna
mirī shanāḳht kā koī nishān chāhtā hai
maiñ ḳhush huuñ aaj ki merī anā kā sūraj bhī
mire hī jism kā ab sā.ebān chāhtā hai
maiñ us kī baat kī tardīd kar to duuñ lekin
magar vo shaḳhs to mujh se zabān chāhtā hai
Top Urdushayar.com