Raeesuddin Raees

waraq waraq tujhe tahrir karta rahta hun

Raeesuddin Raees

Aligarh, Uttar pradesh, India

1948
varaq varaq tujhe tahrīr kartā rahtā huuñ
maiñ zindagī tirī tash.hīr kartā rahtā huuñ
bahut aziiz hai mujh ko masāfatoñ kī thakan
safar ko paañv kī zanjīr kartā rahtā huuñ
musavviroñ ko hai zom-e-musavvirī lekin
maiñ apnī ziist ko tasvīr kartā rahtā huuñ
maiñ sauñp detā huuñ har raat apne ḳhvāboñ ko
har ek sub.h ko tābīr kartā rahtā huuñ
sipar banātā huuñ lafzoñ ko sher meñ lekin
qalam ko apne maiñ shamshīr kartā rahtā huuñ
hazār aib ḳhud apne hī naam meñ likh kar
maiñ terī raa.e hama-gīr kartā rahtā huuñ
vo merī fikr meñ badle kā zahr gholtā hai
magar maiñ zahr ko iksīr kartā rahtā huuñ
maiñ shahr shahr bhaTaktā huuñ aur rozāna
ḳhud apnī zaat kī tāmīr kartā rahtā huuñ
likhe haiñ hisse meñ mere 'ra.īs' sannāTe
navā-e-vaqt kī tasḳhīr kartā rahtā huuñ
Top Urdushayar.com