sarv meñ rañg hai kuchh kuchh tirī zebā.ī kā
jāma-e-gul meñ hai chhāpa tirī ra.anā.ī kā
paañv se raaz khulā bādiya-paimā.ī kā
jo phapholā thā DhiñDhorā huā rusvā.ī kā
saath aayā koī merī na koī jā.egā saath
morid-e-lutf azal se huuñ maiñ tanhā.ī kā
zulf kī ek hī jhaTke meñ kaleja phaḌkā
bahut ayyūb ko da.avā thā shakebā.ī kā
chaar din aur javānī ke guzar jaane do
haal pūchheñge javānoñ se tavānā.ī kā
josh meñ koī nahīñ jāma-darī kā maan.e
hathkaḌī haath pakaḌtī nahīñ saudā.ī kā
haal qābīl kā hābīl se pūchhe koī
vo zamāna hai ki bhaa.ī hai adū bhaa.ī kā
lashkar-e-ġham kī chaḌhā.ī hai ḳhabar-dār ai dil
morcha TūTne paa.ī na shakebā.ī kā
kyuuñ na palkeñ hoñ jafā-kār jo aafat hoñ bhaveñ
bal hai tīroñ ko kamānoñ kī tavānā.ī kā
koī sajda tirī dargāh kī qābil na huā
le chalā daaġh jabīñ par maiñ jabīñ-jā.ī kā
uf nahīñ karte haiñ ushshāq sitam sahte haiñ
kyā hī dilbar ko salīqa hai dil-ārā.ī kā
yaar kī husn-e-javānī kā maiñ dīvāna huuñ
ḳhat-e-ruḳhsār hai mahzar mirī rusvā.ī kā
misl-e-nai siine meñ paḌ jā.eñge chhed ai bulbul
na uḌā tarz mire zamzama-pairā.ī kā
aks ā.īne meñ sūrat kā patā detā hai
khul gayā hāl-e-duī se tirī yaktā.ī kā
apne hastī ko samajhtā rahe barbād insān
chaar unsur nahīñ jhoñkā hai ye chaupā.ī kā
barq girya hai shab-o-roz butoñ ke ġham meñ
'bahr' terā hai janam mardum-e-dariyā.ī kā