Raeesuddin Raees

band hai aaj bhi tarsil pe rah-e-alfaz

Raeesuddin Raees

Aligarh, Uttar pradesh, India

1948
band hai aaj bhī tarsīl pe rāh-e-alfāz
maiñ ki mazmūn huuñ phir bhī huuñ tabāh-e-alfāz
aaj aurāq-navardī hai muqaddar lekin
kal mo.arriḳh mujhe Tahrā.egā shāh-e-alfāz
kaash mafhūm-gazīda koī patthar hī mile
sañg-zāroñ meñ bhaTaktī hai nigāh-e-alfāz
log samjheñge na jāneñge mirī baat magar
mere sar aa.egā phir bhī ye gunāh-e-alfāz
huuñ vo mafhūm jo sharminda-e-tahrīr nahīñ
hai panāhoñ meñ mirī ḳhud hī panāh-e-alfāz
bar-sar-e-jañg huuñ tarsīl ke maidāñ meñ 'ra.īs'
qaid-e-ib.hām meñ hai phir bhī sabāh-e-alfāz
Top Urdushayar.com