havā namnāk hotī jā rahī hai
havelī ḳhaak hotī jā rahī hai
darīcha kholte hī tham ga.ī hai
havā chālāk hotī jā rahī hai
hamāre hausloñ ke aage mushkil
ḳhas o ḳhāshāk hotī jā rahī hai
lahū ke haath dho.e jā rahe haiñ
nadī nāpāk hotī jā rahī hai
na.ī tahzīb se ye nasl-e-nau ab
bahut bebāk hotī jā rahī hai
samundar thaam le maujoñ ko apnī
zamīñ tairāk hotī jā rahī hai
mohabbat nafratoñ ke biich pal kar
baḌī saffāk hotī jā rahī hai
ba-faiz-e-shā.irī shahr-e-hunar meñ
hamārī dhaak hotī jā rahī hai