ba-juz matā-e-dil-e-laḳht-laḳht kuchh bhī nahīñ
mirī nigāh meñ tadbīr-o-baḳht kuchh bhī nahīñ
guzarte vaqt kī sūrat harīf bhī na rahe
burī nigāh na lahje karaḳht kuchh bhī nahīñ
masāfatoñ kī ghanī dhuup meñ haiñ tanhā ham
hamārī raah meñ saa.e daraḳht kuchh bhī nahīñ
maiñ naqsh-o-rañg kī duniyā luTā ke aayā huuñ
mirī nigāh maiñ ab tāj-o-taḳht kuchh bhī nahīñ
hameñ 'ra.īs' jo luuTe to koī kyā luuTe
hamāre paas to ab sāz-o-raḳht kuchh bhī nahīñ