us kī tasvīr kyā lagī huī hai
puure kamre meñ raushnī huī hai
kuchh bhī tartīb meñ nahīñ thā yahāñ
us ke aane se behtarī huī hai
dil kisī aur jā aḌā huā hai
ruuh kisī aur meñ phañsī huī hai
kaise kah duuñ maiñ hāl-e-dil us se
vo mire sāmne baḌī huī hai
jiit jaatī hai mujh se bātoñ meñ
baḌe schōl kī paḌhī huī hai
dost to vo bahut purānī thī
haañ mohabbat na.ī na.ī huī hai
us ke rone se mausamoñ meñ namī
us ke hañsne se dhuup sī huī hai
mere sheroñ meñ aur kuchh na sahī
us kī ḳhushbū rachī-basī huī hai
ab to hālāt kaafī behtar haiñ
varna pahle to shā.irī huī hai
aap mat DhūñDhiyegā kuchh is meñ
ye ġhazal us ke naam kī huī hai