bhūke jismoñ kī ḳhvāhishoñ ke liye
ham mile the zarūratoñ ke liye
jhāñk lenā burā nahīñ hotā
achchhā hotā hai khiḌkiyoñ ke liye
chaar hissoñ meñ baT ke rah jaanā
kitnā mushkil hai āñganoñ ke liye
merī har nazm laḌkiyoñ pe nisār
merā har sher auratoñ ke liye
bhiig jaanā mujhe bhī aatā hai
ek elaan bārishoñ ke liye
dhobiyoñ ke liye bahut ādāb
tāliyāñ us ke darziyoñ ke liye
un dukānoñ meñ dastiyāb kahāñ
lipstick aap ke laboñ ke liye
vo mujhe is tarah zarūrī hai
ghanTiyāñ jaise mandiroñ ke liye
us kā chehra ġhazal kī achchhī kitāb
us kī āñkheñ samundaroñ ke liye