Imdad Ali Bahr

kabhi dekhen jo ru-e-yar daraKHt

Imdad Ali Bahr

1810-1878
kabhī dekheñ jo rū-e-yār daraḳht
apne phūloñ ko samjheñ ḳhaar daraḳht
chār-sū hai inheñ kā likh piiḌā
ye anāsir ke haiñ jo chaar daraḳht
mere gulzār meñ haiñ sho.ale phuul
mere har aah sho.ala-bār daraḳht
sau fasād ek ishq meñ uTThe
boyā ik tuḳhm uge hazār daraḳht
jab chalā baaġh se vo sarv-e-ravāñ
ho ga.e tā.eroñ ko daar daraḳht
jis ko tuubā zamāna kahtā hai
tere ghar meñ hai sāya-dār daraḳht
tū ḳhizāñ meñ jo sair ko nikle
mire ho jaa.eñ be-bahār daraḳht
phal na laayā nihāl-e-ishq apnā
phale-phūle hazār baar daraḳht
'bahr' kyā nashshe meñ ḳhush aate haiñ
nahr-e-gulshan ke daar paar daraḳht
Top Urdushayar.com