apnā apnā samay batā rahe haiñ
ham ta.alluq kahāñ nibhā rahe haiñ
vo bhī sab aap kā diyā huā thā
ye bhī hai aap kā jo khā rahe haiñ
so rahe haiñ kisī ke pahlū meñ
aur tirā ḳhvāb gungunā rahe haiñ
us ke chehre se sub.h uThā.ī hai
us kī āñkhoñ se shab churā rahe haiñ
daad vo de nahīñ rahe haiñ magar
mere sheroñ se haz uThā rahe haiñ
vo galī se guzar rahī hai 'vasīm'
mujh ko ghar meñ ḳhayāl aa rahe haiñ