namāz laḌkī mohabbat ḳhudā zarūrī hai
kisī bhī chiiz kā nashsha baḌā zarūrī hai
bahut zarūrī hai us kā har ek pal hañsnā
mujh aise habs-zada ko havā zarūrī hai
tumhāre vāste rakkhā hai Taal kar ḳhud ko
ab us ke ba.ad tumheñ aur kyā zarūrī hai
ab us kī aur mirī chaah meñ tazād hai dost
mujhe charāġh use aa.ina zarūrī hai
judā.ī itnī zarūrī hai jitnī tum chāho
hamāre vāste sabr-o-razā zarūrī hai