Dar rahā huuñ na ḳhauf khā rahā huuñ
be-sabab baat ko baḌhā rahā huuñ
us kī ḳhushbū pahan rahā huuñ kabhī
kabhī āvāz meñ nahā rahā huuñ
phuul tak us ko de nahīñ saktā
phir hare baaġh kyuuñ dikhā rahā huuñ
kar rahā huuñ maiñ baat ek se aur
dūsre shaḳhs ko sunā rahā huuñ
be-tahāshā dikhā.ī de vo mujhe
har taraf aa.ine lagā rahā huuñ
maiñ bahut ḳhud-pasand huuñ lekin
us ke kahne pe muskurā rahā huuñ
tum kisī daur meñ parī rahī ho
aaj bachchoñ ko sab batā rahā huuñ
kaash vo bhī kabhī batā.e ki maiñ
us ko shiddat se yaad aa rahā huuñ