āvāza-e-ḳhayāl kahīñ gūñjtā huā
aur us pe saarā sahn-e-suḳhan jāgtā huā
dast-e-duā buland huā thā yahīñ kahīñ
apne liye ḳhudā se tujhe māñgtā huā
āḳhir meñ thak ke baiTh gayā ḳhushk ghaas par
phūloñ ke darmiyān tujhe DhūñDhtā huā
hairat hamārī aañkh ko lalkārtī huī
manzar darūn-e-ḳhvāb koī dauḌtā huā
logoñ ke saath saf meñ khaḌā ho gayā 'vasīm'
farz-e-kifāya meñ bhī ise jāntā huā