Waseem Tashif

baz auqat faraghat mein ek aisa lamha aata hai

Waseem Tashif

Bahawal Nagar, Punjab, Pakistan

1993
ba.az auqāt farāġhat meñ ik aisā lamha aatā hai
jis meñ ham aisoñ ko achchhā-ḳhāsā ronā aatā hai
sab us shaḳhs se mil kar bilkul tāza-dam ho jaate haiñ
phir us din tasvīr meñ sab kā chehra achchhā aatā hai
baaġh se phuul churāne vaalī laḌkī ko ye kyā ma.alūm
us ke qadmoñ kī har chaap pe phuul ko khilnā aatā hai
ham ye baat baḌe-būḌhoñ se aksar sunte aa.e haiñ
daa.eñ haath meñ khujlī ho to jeb meñ paisa aatā hai
jab bhī us ko rishte kī tasvīr dikhā.ī jaatī hai
us ke zehn meñ fauran mere jaisā laḌkā aatā hai
ham-sā.e kī ūñchī dīvāroñ se itnā farq paḌā
pahle ghar meñ dhuup aa jaatī thī ab saayā aatā hai
is āvāz ko sunñe vaale kaan mubārak kahlāte haiñ
un āñkhoñ ko dekhne vaalo ḳhvāb meñ dariyā aatā hai
Top Urdushayar.com