Waseem Tashif

is qadar afsurdagi mahsus ki

Waseem Tashif

Bahawal Nagar, Punjab, Pakistan

1993
is qadar afsurdagī mahsūs kī
maiñ ne jab us kī kamī mahsūs kī
raat meñ soyā thā dariyā ke qarīb
ḳhvāb meñ ik jal-parī mahsūs kī
us ke aane kā yaqīñ baḌhne lagā
farsh-e-dil par ghaas ugī mahsūs kī
aaj phir vo dar khulā thā dhyān meñ
aur ik dīvār sī mahsūs kī
vaqt kā karne lage ham ehtirām
har mohabbat āḳhirī mahsūs kī
maut jis din chhū ke guzrī thī mujhe
maiñ ne us din zindagī mahsūs kī
aaj maañ ghar pe nahīñ thī aur phir
ham ne kitnī be-gharī mahsūs kī
vaqt us ne mujh se pūchhā thā 'vasīm'
sab ne hāthoñ meñ ghaḌī mahsūs kī
Top Urdushayar.com