abhī abhī jo falak paar se guzāre ga.e
tumhārī aañkh se aise ka.ī sitāre ga.e
tumhāre hoñT se nikle har ek lafz kī ḳhair
ki jaise un pe gulāboñ ke phuul vaare ga.e
kisī ne niiñd meñ aa kar nahīñ chhuā ham ko
ye baal ḳhvāb meñ rah kar nahīñ sañvāre ga.e
pahal pahal to vo hoñToñ se dekhe jaate rahe
phir us ke ba.ad mirī aañkh se pukāre ga.e
tire visāl kī ḳhvāhish kahīñ pe rakkhī ga.ī
tire visāl ke arse kahīñ guzāre ga.e
magar vo lahr hamārī taraf nahīñ palTī
agarche dhyān bahut us taraf hamāre ga.e
tumhāre jaane se kuchh ḳhaas to nahīñ huā bas
charāġh rakkhe ga.e ā.īne utāre ga.e