Imdad Ali Bahr

raushan hazar chand hain shams-o-qamar se aap

Imdad Ali Bahr

1810-1878
raushan hazār chand haiñ shams-o-qamar se aap
ġhā.eb haiñ par nigāh kī sūrat nazar se aap
āñkheñ bichhāte phirte haiñ mushtāq raah meñ
kyā jāniye guzarte haiñ kis rahguzar se aap
ro.e koī ġharīb to hañsnā na chāhiye
vāqif nahīñ kisī ke fuġhān-e-asar se aap
kāñTe bhare haiñ ḳhat meñ jo chhūte nahīñ ise
itnā na haath khīñchiye merī ḳhabar se aap
rahgīr kyuuñ taḌapte haiñ tashvīsh thī mujhe
ab khul gayā ki jhāñkte haiñ chāk-e-dar se aap
hammām ne to aur bhī chamkā diyā badan
goyā nahā ke nikle haiñ āb-e-guhar se aap
lā.eñge raah par ye ruḳh-o-zulf ek din
dekheñge shaam tak mirā rasta sahar se aap
āñkhoñ kī tarah rone lageñ rauzan-e-makāñ
pūchheñ hamārā haal jo dīvār-o-dar se aap
mirrīḳh-pan mizāj meñ a.azā meñ nāzukī
teġh-e-shuā bāñdhiye apnī kamar se aap
ai zāhidān-e-ḳhushk ye ġhairat kā hai maqām
āgāh aaj tak nahīñ ḳhāliq ke ghar se aap
zāhir hai murġh-e-qibla-numā bhī gavāh hai
ka.abe kī samt pūchhte haiñ jānvar se aap
kyūñkar malak kahūñ ki malak ḳhādim aap ke
haiñ vo bashar ki maltī haiñ ḳhairul-bashar se aap
jo baat aap kī hai mashiyyat ḳhudā kī hai
be-shubah muḳhtalat haiñ qazā-o-qadar se aap
phislā hai mere āñsuoñ meñ paañv aap kā
bande kā sar utāriye aaj apne sar se aap
ai 'bahr' rahm khā.egā vo rone par zarūr
dho rakhiye apne muñh ko zarā chashm-e-tar se aap
Top Urdushayar.com