Zeeshan Mehdi

isi dar se isi diwar se aage nahin baDhta

Zeeshan Mehdi

isī dar se isī dīvār se aage nahīñ baḌhtā
ye kaisā pyaar hai jo pyaar se aage nahīñ baḌhtā
hamārī ḳhvāhisheñ iz.hār kī had tak nahīñ jātīñ
hamārā hausla dīdār se aage nahīñ baḌhtā
hamārī zindagī meñ ek sustī sī musalsal hai
hamārā ḳhuun is raftār se aage nahīñ baḌhtā
kisī ke haath se pī kar kisī ko bhuul jaate haiñ
hamārā dard is me.aar se aage nahīñ baḌhtā
hamārī zindagī logoñ meñ rah kar bhī akelī hai
hamārā rāsta bāzār se aage nahīñ baḌhtā
ajab ik qaht hai us aañkh meñ tere havāle se
chhalak kar ashk bhī ruḳhsār se aage nahīñ baḌhtā
hamārī justujū hai ham tire iqrār tak pahuñcheñ
hamārā ḳhvāb ik inkār se aage nahīñ baḌhtā
hamārī soch terī gard-e-pā ko chhū nahīñ saktī
hamārā zehn is āzār se aage nahīñ baḌhtā
hamārī aarzū 'zīshān' puurī hī nahīñ hotī
hamārā mas.ala aḳhbār se aage nahīñ baḌhtā
Top Urdushayar.com