zohar-e-āshiqī se Dartā huuñ
husn kī barhamī se Dartā huuñ
maiñ ne Daalī kamand sūraj par
phir bhī maiñ raushnī se Dartā huuñ
aa basā huuñ galī meñ chīḳhoñ kī
is liye ḳhāmushī se Dartā huuñ
masḳh pahchān ho na jaa.e kahīñ
be-amal zindagī se Dartā huuñ
kuchh safā.ī meñ apnī kahnā hai
par tirī munsifī se Dartā huuñ
ḳhaar ko ḳhaar gul ko gul kah duuñ
maiñ kahāñ kab kisī se Dartā huuñ
apnī tanhā.ī ḳhuub hai 'mohsin'
bazm kī be-ruḳhī se Dartā huuñ