Daood Mohsin

sahma hai aasman zamin bhi udas hai

Daood Mohsin

Davanagere, Karnataka, India

1962
sahmā hai āsmān zamīñ bhī udaas hai
har gaañv aur shahr meñ ḳhauf-o-hirās hai
ik lamha-e-sukūñ bhī mayassar nahīñ hameñ
tere baġhair apnā har ik pal udaas hai
ye kaisī dilkashī hai yahāñ kaun aa gayā
kaisī ye raushnī sī mire ās-pās hai
āvārgī kā naam hai tahzīb-e-nau yahāñ
āñkhoñ meñ sharm hai na badan par libās hai
duniyā meñ apnī aap magan ham haiñ is tarah
apnoñ kā kuchh ḳhayāl na rishtoñ kā paas hai
masmūm sī havā.eñ pata de ga.iiñ hameñ
qātil hamārā koī yahīñ ās-pās hai
'mohsin' sunā hai ham ne ye kāmil faqīr se
hogā ḳhudā se āshnā jo ḳhud-shanās hai
Top Urdushayar.com