aaj ke māhaul meñ insāniyat badnām hai
ye inād-e-bāhamī kā hī faqat anjām hai
haq-shanāsī kā chalan ham meñ nahīñ baaqī rahā
sub.h apnī pur-alam hai pur-ḳhatar har shaam hai
haif barbādī-e-gulshan apne hī hāthoñ huī
muft meñ bād-e-ḳhizāñ ke sar pe kyuuñ ilzām hai
dhundlī dhundlī sī fazā hai mehr aur iḳhlās kī
ab rifāqat āshtī aur dostī gumnām hai
tapte sahrā se to bach kar aa ga.e the ham magar
ab qadam kaise baḌhā.eñ pur-ḳhatar har-gām hai
kyā girānī aur arzānī kī ham bāteñ kareñ
paanī mahñgā hai yahāñ aur ḳhuun saste daam hai
baap se bachche ai 'mohsin' munharif hone lage
tarbiyat aur ilm ke fuqdān kā anjām hai