zindāñ meñ huuñ maiñ shahr-e-nigārāñ se kyā mujhe
is gulsitāñ kī bād-e-bahārāñ se kiyā mujhe
vo kaam apnā kar hī gayā ehtiyāt se
yuuñ dekhte ho dīda-e-hairāñ se kyā mujhe
vīrāniyāñ haiñ gor-e-ġharībāñ sī har taraf
lenā hai aaj shahr-e-daraḳhshāñ se kyā mujhe
chhūne lage haiñ haath mire mehr-o-māh ko
mahfil kī āb-o-tāb-e-charāġhāñ se kyā mujhe
hāthoñ ko zaḳhm qalb ko māyūsiyāñ milīñ
is ke sivā milā hai gulistāñ se kyā mujhe
'mohsin' shab-e-siyāh kā maarā huā huuñ maiñ
ab vāsta ho sham-e-shabistāñ se kyā mujhe