kyā batāte haiñ ishārāt tumheñ kyā ma.alūm
kitne mashkūk haiñ hālāt tumheñ kyā ma.alūm
ye ulajhte hue jazbāt tumheñ kyā ma.alūm
haiñ yahī bā.is-e-āfāt tumheñ kyā ma.alūm
ek āñgan ko faqat apne sajāne ke liye
kitnī jhīleñ haiñ muhimmāt tumheñ kyā ma.alūm
raaz hastī kā hai kyā maqsad-e-hastī kyā hai
hal talab haiñ ye savālāt tumheñ kyā ma.alūm
ik khanaktī huī miTTī ho jilā baḳhshī hai
kitnī pyārī hai ye sauġhāt tumheñ kyā ma.alūm
din guzartā hai kisī aur bahāne se magar
kaise kaTtī hai mirī raat tumheñ kyā ma.alūm
bech kar saarā asāsa karo shādī 'mohsin'
yuuñ hī aatī nahīñ bārāt tumheñ kyā ma.alūm