dekhnā ho gar banā kar kāñch kā ghar dekhnā
kaun barsātā hai kis jānib se patthar dekhnā
merī palkoñ par aTī hai gard ranj-o-karb kī
dard āñkhoñ meñ samāyā hai samundar dekhnā
apnī ḳhāmushī banegī jab fasāna ai nadīm
log hāthoñ meñ liye ā.eñge patthar dekhnā
maiñ hī ik hairāñ nahīñ huuñ dam-ba-ḳhud haiñ sab yahāñ
qaum ko le jā.eñge kis samt rahbar dekhnā
aap apne vāste rakh leñ charāġh-e-ārzī
bas mirā sheva hai zulmat meñ utar kar dekhnā
hai vafāoñ par bharosa rañg lā.eñgī zarūr
jaag uTThegā kabhī merā muqaddar dekhnā
ḳhatm ḳhūn-e-dil huā kaise bhareñ rañg-e-vafā
kyā banā pā.eñge ham tasvīr-e-dilbar dekhnā
zāviye apnī uḌānoñ ke badalne lag ga.e
kaun dam letā hai 'mohsin' ab kahāñ par dekhnā