Imdad Ali Bahr

teri har ek baat hai nashtar na chheD

Imdad Ali Bahr

1810-1878
terī har ik baat hai nashtar na chheḌ
pakkā phoḌā huuñ maiñ ai dilbar na chheḌ
maiñ agar royā to kyā haath aa.egā
ashk ke qatre nahīñ gauhar na chheḌ
muñh se kah baiTheñge jo ho jā.egā
ham saḌe saudā.iyoñ se Dar na chheḌ
tere qadmoñ se lagā huuñ rahm kar
Thokaroñ se o but-e-ḳhud-sar na chheḌ
shīsha-e-dil chuur ho jā.egā yaar
hai kalām-e-saḳht bhī patthar na chheḌ
ḳhauf kar ham dil-jaloñ kī aah se
chheḌnā ham ko nahīñ behtar na chheḌ
bhaḌ kā chhattā hai dil-e-sūrāḳh-dār
us kī aaheñ taish haiñ dilbar na chheḌ
dast-e-nāzuk ko na pahuñche koī rañj
jhaaḌ kāñToñ kā huuñ maiñ lāġhar na chheḌ
be-mazā bātoñ se dil uktā gayā
chheḌe se ab dam hai hoñToñ par na chheḌ
bū-e-ḳhūñ aatī hai is taqrīr se
zikr ġhairoñ kā mire muñh par na chheḌ
ve ki ro.egā hañsī achchhī nahīñ
chheḌ meñ kuchh ho na jaa.e shar na chheḌ
terī aaheñ yaar ko nā-sāz haiñ
saaz apnā ai dil-e-muztar na chheḌ
hashr barpā kar ke leTā huuñ abhī
sone de o fitna-e-mahshar na chheḌ
kah vo mashshāta se af.ī hai vo zulf
us ke kaaTe kā nahīñ mantar na chheḌ
ro.egā DāḌhī ko DāḌheñ maar kar
mohtasib rindoñ ko muñh chaḌh kar na chheḌ
ḳhush na hogā koī sotā chauñk kar
'bahr' tū ġhāfil ko samjhā kar na chheḌ
Top Urdushayar.com