maiñ ne kahā ki dil meñ to armān haiñ bahut
us ne kahā ki aap to nādān haiñ bahut
maiñ ne kahā ki mujh ko hai jannat kī aarzū
us ne kahā ki vāqif-e-īmān haiñ bahut
maiñ ne kahā ki mahkā huā ik gulāb huuñ
us ne kahā zamīñ pe gulistān haiñ bahut
maiñ ne kahā ki merī panāhoñ meñ aa.iye
us ne kahā ki mere nigahbān haiñ bahut
maiñ ne kahā ki ek murassā ġhazal huuñ maiñ
us ne kahā ki aise to dīvān haiñ bahut
maiñ ne kahā ki tark-e-vafā se huuñ sharmsār
us ne kahā ki ham bhī pashemān haiñ bahut
maiñ ne kahā ki rakkhegā 'mohsin' adab kī laaj
us ne kahā ki vaise to imkān haiñ bahut