hadd-e-parvāz-e-jamāl aap kī añgḌā.ī hai
is se aage mire ehsās kī ra.anā.ī hai
ab safar aur bhī dushvār huā ham-safaro
tīrgī raah kī zehnoñ meñ simaT aa.ī hai
the jo mahbūs to āfāq-nigāhī thī nasīb
hue āzād to har chiiz ilāqā.ī hai
ham kabhī ro.e the jis baat pe pahroñ ai 'naqsh'
aaj us baat pe rah rah ke hañsī aa.ī hai