maqām-e-amn qafas kyā ki āshiyāñ bhī nahīñ
sukūñ vahāñ bhī nahīñ thā sukūñ yahāñ bhī nahīñ
mirā kalām payām-e-amal na ho lekin
tamām-tar nigah-o-dil kī dāstāñ bhī nahīñ
mirī nigāh meñ manzil hai aam insāñ kī
maqām-e-dār nahīñ bazm-e-mah-ruḳhāñ bhī nahīñ
ye baar shiddat-e-ehsās kā hai nādānoñ
garāñ hai ziist magar is qadar garāñ bhī nahīñ
hai naqsh-e-ḳhūn-e-jigar se har ek fan ko sabāt
jo ye nahīñ to koī naqsh-e-jāvedāñ bhī nahīñ