Maqbool Naqsh

dil ka ek ik dagh sham-e-zer-e-daman ho gaya

Maqbool Naqsh

Tatanagar, Jharkhand, India

-2005
dil kā ik ik daaġh sham-e-zer-e-dāmāñ ho gayā
ham jahāñ pahuñche vahīñ jashn-e-charāġhāñ ho gayā
chāk-e-dil kī baat thī chāk-e-jigar kī baat thī
muft meñ rusvā mirā chāk-e-garebāñ ho gayā
raqs kar yuuñ ek ik band-e-anāsir TuuT jaa.e
ai junūñ pābandiyoñ se dil pareshāñ ho gayā
kis se pūchhūñ irtiqā kī kaun sī manzil hai ye
aadmī ḳhud aadmī kā dushman-e-jāñ ho gayā
chhoḌiye afsāna-e-insāñ ko insāñ ab kahāñ
vo to bechāra halāk-e-kufr-o-īmāñ ho gayā
phuul mahrūm-e-tabassum aur sabā ma.azūr-e-raqs
ye gulistāñ kyā huā ai 'naqsh' zindāñ ho gayā
Top Urdushayar.com