Imdad Ali Bahr

phal aate hain phul TuTte hain

Imdad Ali Bahr

1810-1878
phal aate haiñ phuul TūTte haiñ
ḳhurdoñ se buzurg chhūTte haiñ
khultī nahīñ gul kī bad-mizājī
ġhunche nahīñ muñh se phūTte haiñ
karte haiñ yahāñ hasīñ tārāj
nabbash lahad meñ lūTte haiñ
hotā hai firāq jān-o-tan meñ
buroñ ke milāp chhūTte haiñ
ik but se mo.āmla darpesh
patthar se nasīb phūTte haiñ
aaseb haiñ gesūvān-e-māshūq
kab ham se lipaT ke chhūTte haiñ
dil le ke vo jaan ke haiñ ḳhvāhāñ
har pahar ke mujhī ko lūTte haiñ
har-vaqt hai koft apne dil ko
rah rah kar siina kūTte haiñ
ḳhat paḌhtā hai merā kyā kahūñ kaun
aġhyār kī diid se phūTte haiñ
rone-dhone se fā.eda 'bahr'
kab siine ke daaġh chhūTte haiñ
Top Urdushayar.com