sach hai hogā duniyā meñ koī ham sā kam tanhā
ham-nafas nafas tanhā ham-qadam qadam tanhā
dahr ā.ina-ḳhāna aur us meñ ham tanhā
dekhiye to ik mahfil vaise ek-dam tanhā
aarzū rifāqat kī aadmī kī fitrat hai
zindagī nahīñ kaTtī aap hoñ ki ham tanhā
zindagī kī rāhoñ meñ saath chhoḌne vaalo
kaash dekh lete tum chal ke do-qadam tanhā
sirf ye batānā hai sheva-e-vafā kyā hai
varna kaun sahtā hai itne ranj-o-ġham tanhā