tum aziiz aur tumhārā ġham bhī aziiz
kis se kis kā gilā kare koī
māne-e-arz mujh ko pās-e-vafā
un ko zid iltijā kare koī
tum taġhāful-shi.ār dil māyūs
aah kyā hausla kare koī
ġham-e-dil ab kisī ke bas kā nahīñ
kyā davā kyā duā kare koī
kaun suntā hai ġham-nasīboñ kī
kis ke dar par sadā kare koī
ḳhair sun lo mirā fasāna-e-ġham
ye to kah doge kyā kare koī
saḳht mushkil hai sharh-e-dard-e-nihāñ
kis tarah ibtidā kare koī
jis ko dekho vo hai vafā-dushman
kis se ahd-e-vafā kare koī
ḳhatm jaur-o-jafā hai marg-e-vafā
kaash phir ibtidā kare koī
lutf-e-tāzīr jab ho jān-e-hayāt
kyuuñ na 'hādī' ḳhatā kare koī