tū na ho ham-nafas agar jiine kā lutf hī nahīñ
jis meñ na tū sharīk ho maut hai zindagī nahīñ
ishrat-e-dīd hai yahī apnā bhī kuchh rahe na hosh
jalva ba-qaid-e-tāb-e-dīd asl meñ jalva hī nahīñ
avval-e-ishq hī meñ kyā dil kā ma.aal dekhnā
ye to hai ibtidā-e-soz aag abhī lagī nahīñ
ishq hai kaif-e-be-ḳhudī is ko ḳhudī se kyā ġharaz
jis kī fazā ho vasl o hijr ishq vo ishq hī nahīñ
ye bhī na ho ḳhabar ki sar sajde meñ hai jhukā huā
jis meñ ho bandagī kā hosh vo koī bandagī nahīñ
kis kā sar-e-niyāz thā pā-e-ayāz par jhukā
māna-e-bandagi-e-shauq satvat-e-ḳhusravī nahīñ
kar na sukūn-e-dil kā ġham hādi-e-mubtalā zarā
ishq kī bārgāh meñ dard kī kuchh kamī nahīñ