tumheñ bhī mālūm ho haqīqat kuchh apnī rañgīñ-adā.iyoñ kī
kabhī use chheḌ kar to dekho jo lai mire dil kī saaz meñ hai
abhī to ik qatra hī girā thā ki jis se halchal meñ hai zamāna
ḳhudā hī jaane ki kitnī quvvat dil-e-hazīñ ke gudāz meñ hai
ilāhī ḳhair us ke sañg-e-dar kī na ho kahīñ sarf-e-shauq vo bhī
ki zauq-e-sajda kī ek duniyā mirī jabīn-e-niyāz meñ hai