hazār ḳhaak ke zarroñ meñ mil gayā huuñ maiñ
ma.āl-e-shauq huuñ ā.īna-e-vafā huuñ maiñ
kahāñ ye vus.at-e-jalva kahāñ ye dīda-e-tañg
kabhī tujhe kabhī apne ko dekhtā huuñ maiñ
shahīd-e-ishq ke jalve kī intihā hī nahīñ
hazār rañg se aalam meñ rū-numā huuñ maiñ
mirā vajūd haqīqat mirā adam dhokā
fanā kī shakl meñ sar-chashma-e-baqā huuñ maiñ
hai terī aañkh meñ pinhāñ mirā vajūd o adam
nigāh pher le phir dekh kyā se kyā huuñ maiñ
mirā vajūd bhī thā koī chiiz kyā mālūm
is e'tibār se pahle hī miT chukā huuñ maiñ
shumār kis meñ karūñ nisbat-e-haqīqī ko
ḳhudā nahīñ huuñ magar maz.har-e-ḳhudā huuñ maiñ
mirā nishāñ nigah-e-haq-nagar pe hai mauqūf
na ḳhud-shanās huuñ 'hādī' na ḳhud-numā huuñ maiñ